doston ki be-niyaazi ko ada ka naam do
be-rukhi hadh se jo badh jaaye ana ka naam do
dil ke guldan mein sajavo taza zakhmo ke gulab
awar phir sine ko ek baagh-e-waffa ka naam do
ashk shoyi main hatheli peh jo lag jaye lahu
ussko az rah-e-adab rang-e-hina ka naam do
dil ke daaghon ka chaman har dam mehkna chahiye
apni aahon ke dhuwein ko tum saba ka naam do
Utth na jaayein bazm se phir aitbar-e-dostan
unn ki jaanib se jaffa ko bhi atta'a ka naam do
zarf ka mayaar apne tum kabhi girne na do
be-wafai bhi kare gar woh waffa ka naam do
maslehat haalat ki majboor gar 'dil' karen
jo dabo de nawoo ussko na-khuda ka naam do
No comments:
Post a Comment