haath mera ai meri parchhayin tu hi thaam le
ek muddat se mujhe toh sujhta kuchh bhi nahin
shahr-e-shab mein kaun-sa ghar tha na dii jis par sadaa
niind ke andhe musaafir ko mila kuchh bhi nahin
umar bhar umar-e-gurezan[fleeting life] se na meri ban saki
jo kare karati rahe main puchhata kuchh bhi nahin
vo bhi shayad ro pade viran kaagaz dekh kar
maine ussko aakhiri khat mein likha kuch bhi nahin
No comments:
Post a Comment