khamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakta hai
sanata hi guunj raha ho aisa bhi ho sakta hai
mera maazii mujhse bichhad kar kya jaane kis haal mein hai
meri tarah vo bhi tanha ho aisa bhi ho sakta hai
sehara sehara kab tak main dhuundhuun ulfat ka ek aalam
aalam aalam ik sehara ho aisa bhi ho sakta hai
ahl-e-tufan soch rahe hain saahil duuba jaata hai
khud unnka dil duub raha ho aisa bhi ho sakta hai
No comments:
Post a Comment