aakhir panaah
kuch is qadar jaffa-e sitamgaar ho gayi
yeh zindagi hamari ik aazaar ho gayi
main jab se tere gham mein giraftaar ho gayi
jeene ki raah aur bhi dushwaar ho gayi
mera yeh zurm hai keh lutaya kisi pe dil
kar ke khataaye ishq khatawaar ho gayi
aakhir panaah maut se hi maangna padi
jab zindagi ke qahr se bezaar ho gayi
tujh ko bhulana teri mohabbat ko bhulna
koshish toh ki thi humne bhi bekaar ho gayi
duniya se aaj ussko umeede waffa nahi
lagta hai “shamma” bhi samajhdaar ho gayi
No comments:
Post a Comment