Tuesday, July 7, 2009

abdullah kamal ki shayyiri

usski jaam-e-jam aankhen shiisha-e-badan mera
usski band mutthi mein saara baankpan mera
aao aaj ham donon apna apna ghar chun len
tum tabaah-e-dil le lo khitta-e-badan mera
maine apne chehre pe sab hunar sajaaye thay
faash[reveal] kar gaya mujhko saada pairhan mera
dil bhi kho gaya shayad shahr ke saraabon mein
ab meri tarah se hai dard bevatan mera
ek dasht-e-khamoshi ab mera muqaddar hai
yaad besada teri zakhm be_chaman mera
roz apni aankhon ke khwab khuun karta hun
haaye kin ganiimon[enemy] se aa pada hai ran[fight] mera
magrabi[western] hawa ne phir ye sandesha bheja hai
muntazir[waiting] tumhara hai khushbuon ka ban mera


No comments:

Post a Comment

wel come