dil hai aaiina-e-hairat se do-chaar aaj ki raat
gham-e-dauran[sorrows of life] mein hai aks-e-gham-e-yaar[reflection of sorrow of separation] aaj ki raat
aatish-e-gul ko daaman se hawa deti hai
deedani hai ravish[behaviour]-e-mauj-e-bahaar aaj ki raat
aaj ki raat ka maehmaan hai malbuus[garments]-e-hariir[silk]
iss chaman-zaar mein ugate hain sharer[sparks of fire] aaj ki raat
maine farahad ki aagosh meiin shiriin dekhi
maine parwez ko dekha sar-e-daar[at the gallows] aaj ki raat
jo chaman sarf-e-khizan[in autumn's grasp] hain vo bulaate hain mujhe
mujhe fursat nahin ae jaan-e-bahaar aaj ki raat
dar-e-yazdaan[god] pe bhi jhukti nahin iss waqt jabiin
mujhse aankhen na ladaa aaj ki raat
mashaal-e-sher ka laaya hun chadhawa ‘abid’
jagmagaaten hain shahiidon ke mazaar aaj ki raat
No comments:
Post a Comment