Tuesday, July 7, 2009

afzal minhas ki shayyiri

karb[anguish] ke shahr se nikle toh ye manzar dekha
ham ko logon ne bulaya hamen chhu kar dekha
jab bhi chaha hai ki malabuus[garment]-e-waffa ko chhu len
misl[example] khushbu koi udata hua paikar[form] dekha
vo barsaat mein bhiga toh nigahen utthin
yon laga hai koi tarsha hua patthar dekha
zindgi kitni pareshan hai ye socha bhi na tha
isske ataraaf[[all around] mein sholon ka samandar dekha
aa gayi gham ki hawa phir tere gesu chhu kar
hamne virana-e-dil phir se mu'attar[fragrant] dekha
vo jo udati hai sada dasht-e-waffa mein ‘afzal’
ussi mitti mein nihaan[hidden] dard ka gauhar[pearl] dekha



No comments:

Post a Comment

wel come