Tuesday, July 7, 2009

ahmed rahi ki shayyiri

dil ke sun_saan jaziiron ki khabar laayega
dard pahalu se juda ho ke kahan jaayega
kaun hota hai kisi ka shab-e-tanhai mein
gham-e-furqat hi gham-e-ishq ko behalayega
chaand ke pahelu mein dam saadh ke roti hai kiran
aaj taaron ka fasoon[magic] khaak nazar aayega
raakh mein aag dabi hai gham-e-meharumi ki
raakh ho kar bhi ye shola hamen sulgayega
waqt khamosh hai ruuthe huye yaaron ki tarah
kaun lau dete hue zakhmon ko sehalayega
dhuup ko dekh ke uss jism pe padati hai jhamak
chhaon dekhenge toh uss zulf ka dhyan aayega
zindgi chal ki zara maut ka dam_kham dekhen
varna ye jazba lahad[grave] tak hamen le jaayega

No comments:

Post a Comment

wel come