dil mein dard aah ba_lab chashm guhar_baar liye
yun jiya jaata hai ae dost toh phir kaun jiye
khoon hai har gham-e-hasti ka hamare sar par
ham gham-e-ishq ke maaron ne bade paap kiye
chaand ke chehre pe makhmoor gilaafi aankhen
sang-e-marmar ke hasiin taaqon mein jalte hain diye
main tha be-saro-saaman bahut saaf bacha
raah mein rah_numaaon ne bade daav kiye
jab se aagosh-e-gham-e-ziist mein aa baitha hun
dhuundhte phirte hain qaasid tere paigam liye
rashk se dekhte hain tujhko kai zohra_jabiin
ham nikalte hain jab haathon mein tera haath liye
pehle tashviish sukuun-e-dil va jaan thi 'akhtar'
ab pareshan hun afakaar pareshan ke liye
No comments:
Post a Comment