Tuesday, July 7, 2009

akhtar ul iman ki shayyiri

tumse berangi-e-hasti ka gila karna tha
dil pe anbaar hai khuungashta[dripping with blood] tamnnaon ka
aaj tuute huye taaron ka khayal aaya hai
ek mela hai pareshan si ummiidon ka
chand paz_murda[wilted]] baharon ka khayal aaya hai
paanv thak thak ke reh jaate hain mayusi mein
pur_mahan[full of sorrow] raah_guzaron ka khayal aaya hai
saaqi-o-baada nahin jaam-o-lab-e-juu[river side] bhi nahin
tumse kehna tha ki ab aankh mein aansu bhi nahin

No comments:

Post a Comment

wel come