chupke chupke asar karta hai
ishq kainsar ki tarah badhata hai
jo koi jii na sake marr jaaye
aapka naam abas leta hai
kaun sunta hai kisi ki vipada
sab ke maathe pe yahi qissaa hai
koi darta hai bharii mehafil mein
koi tanhaai mein hans padta hai
yahi zannat hai yahi hai dozakh
aur dekho toh yahi duniya hai
sab ki qismat mein fana hai jab tak
aasmaanon pe koi zinda hai
vo khuda hai toh zamiin par aaye
hashr ka din toh yahan barpa hai
saans roke huye baitho 'amjad'
waqt dushman ki tarah chalta hai
No comments:
Post a Comment