kisi ki aankh jo purnam nahin hai
na samajho ye ke ussko gham nahin hai
sawaad-e-dard mein tanha khada hun
palat jaaun magar mausam nahin hai
samajh mein kuch nahin aata kisi ke
agarche guftagu mubaham nahin hai
sulagta kyun nahin taariik jangal
talab ki lau agar maddham nahin hai
ye basti hai sitam parvar digan ki
yahan koi kisi se kam nahin hai
kinara dusra dariya ka jaise
vo saathi hai magar maharam nahin hai
dilon ki raushani bujhne na dena
wajuud-e-tiiragi mahkam nahin hai
main tumko chaah kar pachhta raha hun
koi iss zakhm ka marham nahin hai
jo koi sun sake 'amjad' toh suna dena
ba-juz ek baaz gasht-e-gham nahin hai
No comments:
Post a Comment