Wednesday, July 8, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

kahanaake rukne thay raaste kahan mod tha usse bhuul ja
vo jo mil gaya usse yaad rakh jo nahin mila usse bhuul ja
vo tere naseeb ki barishen kisi aur chhat pe baras gayi
dil-e-bekhabar meri baat sun usse bhuul ja usse bhuul ja
main toh guum tha tere hi dhyan mein teri aas mein tere gumaan mein
hawa keh gayi mere kaan mein mere saath aa usse bhuul ja
tujhe chaand ban ke mila tha jo tere saahilon pe khila tha jo
vo tha ek dariya wisaal ka so utar gaya usse bhuul ja

No comments:

Post a Comment

wel come