Wednesday, July 8, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

mera tamaam fan meri kaavish mera riyaaz
ik na-tamaam geet ke misare hain jin ke beech
maanii ka rabt hai na kisi kaafiye ka mel
anjaam jiska tai na hua ho ik aisa khel
meri mataa bas yahi jadu hai ishq ka
seekha hai jis ko maine badi mushkilon ke saath
lekin ye saahir-e-ishq ka tohfa ajeeb hai
khulta nahin hai kuch ke haqiiqat mein kya hai ye
taqadiir ki ataa hai ya koi saza hai ye
kis se kahen ae jaan ke ye qissa ajeeb hai
kehne ko yun toh ishq ka jadu hai mere paas
par mere dil ke vaaste itna hai iss ka bojh
siine se ik pahad-sa hat’ta nahin hai ye
lekin asar ke baab mein halka hai iss qadar
tujhpe agar chalaun toh chalta nahin hai ye

No comments:

Post a Comment

wel come