daalanon mein kamaron mein ulajhaaye huye rakhna
kuch kaam mein apne ko bahalaaye huye rakhna
duniya ke masaail mein uljha hua jab aaun
tum ghar ke masaail ko sulajhaaye huye rakhna
sanduuk ke kapadon ko kuch dhuup dikha dena
tum sahan mein jaade ko phailaaye huye rakhna
main dhuup ke sahara se jhulsa hua aaunga
shaanon pe ghataaon ko thaharaaye huye rakhna
ho jaayen kabhi shab mein bachchon se bhi do baaten
pariyon ki kahani ko doharaaye huye rakhna
dhundhala na kahin kar de kuch ghar ki pareshani
aaiina-e-rukh apna chamakaaye huye rakhna
ik umr pe bhi usska andaaz wahi 'anjum'
kamare mein qadam rakhna sharmaaye huye rakhna
No comments:
Post a Comment