apni marzi se kahan apne safar ke ham hain
rukh hawaaon ka jidhar ka hai udhar ke ham hain
pehle har chiiz thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar mein kisi dusare ghar ke ham hain
waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak
kisko mallum kahan ke hain kidhar ke ham hain
chalte rehte hain ki chalna hai musafir ka nasiib
sochte rehte hain ki kis rahguzar ke ham hain
ginatiyon mein hi gine jaate hain har daur mein ham
har qalamakaar ki benaam khabar ke ham hain
No comments:
Post a Comment