phirte huye kisi ki nazar dekhte rahe
dil khoon ho raha tha magar dekhte rahe
kuch din ye bhi rang raha intzaar mein
aankh uth gayi jidhar bas udhar dekhte rahe
jab aashiyan ki yaad aseeri[prison] mein aa gayi
udate huye hawa mein sharar dekhte rahe
sunte raho ki dekh liya jalwva behijaab
apna hi sab fareb-e-nazar dekhte rahe
iss vaaste ki aur ghate mol jins ka
maatluub[longed for] unnko dil tha jigar dekhte rahe
saaman-e-sad_hazar tamasha thi bekhudi
aankhen thi band aur 'asar' dekhte rahe
No comments:
Post a Comment