dil se dhadakan khuun se azm-e-safar[strength to travel] le jaayega
waqt ik din chiin kar saare hunar le jaayega
haan dua maangi thi lekin ye toh socha bhi na tha
mausam-e-barsaat sab diwaar-o-dar le jaayega
aaj iss titalii ko inn phuulon pe uddne diijiye
kal koi jhonka hawa ka isske par le jaayega
tu kisi andhe kuuyen mein jaaye toh ye jaan le
saath saath apne ye meri bhi nazar le jaayega
dusaron ke ghar mein patthar phenkne wale ye soch
tu bacha kar kis tarah shiishe ka ghar le jaayega
shahr ki sadakon pe mere saath mat niklo abhi
jo bhi dekhega uda kar ye khabar le jaayega
sar-bulandi jis ka manasab hai vo jhuk sakta nahin
dast-e-qaatil usska khud neze pe sar le jaayega
No comments:
Post a Comment