vusa't-e-chashm ko andoh-e-basaarat likha
maine ik wasl ko ik hizjr ki haalat likha
maine likha ke safa-e-dil kabhi Khaali na ho
aur kabhi Khaali ho bhi toh malaamat likha
maine parwaz likhi hadd-e-falaq se aage
aur be-baal-o-pari ko bhi nihaayat likha
maine dastak ko likha kash-ma-kash-e-be-khabri
jumbish-e-parda ko aane ki ijaazat likha
maine khushbu ko likha dastaras-e-gum-shudgi
rang ko fasla rakhne ki riyaayat likha
zakhm likhne ke liye maine likhi hai gafalat
khuun likhna tha magar maine hararat likha
husn-e-go_aai ko likhna tha likhi sargoshi
shor likhna tha so aazar-e-sama'at likha
maine taabiir ko tahariir mein aane na diya
khwab likhate huye mohtaaj-e-bashaarat likha
koi aasaan rafaqat nahin likhi maine
qarb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likha
itne daaon se guzar kar ye khayaal aata hai
'azm' kya tumne kabhi harf-e-nadaamat likha
No comments:
Post a Comment