baat kya aadmi ki ban aayi
aasmaan se zamiin napavaai
charkh zan usske vaste hai madaam
ho gaya din tamaam raat aayi
maah-o-khurshiid-o-baad sabhi
usski khatir huye hain saudaai
kaise kaise kiye taraddad jab
rang rang ussko chiiz pahunchaai
ussko tarjah sab ke upar de
lutf-e-haq ne ki izzat afazaai
hairat aati hai usski baaten dekh
khudsaari khud sataai khud raai
shukr ke sajdon mein ye vaajib tha
ye bhi karta sajda jabiin saai
so toh usski tabiiyat-e-sarkash
sar na laayi faro ke tuk laayi
'meer' na chiiz musht-e-khaak allaah
unn ne ye kibariya kahan paayi
No comments:
Post a Comment