dil pe karte hain dimagon pe asar karte hain
ham ajab log hain zehanon mein safar karte hai.n
jab saraape pe kahin usske nazar karte hain
miir saahab ki tarah umr basar karte hain
bandishen hamko kisi haal gavara hi nahin
ham toh vo log hain diwar ko dar karte hain
waqt ki tez-kharami hamen kya rokegi
janbish-e-kalk se sadiyon ka safar karte hain
naqsh-e-pa apna kahin raah mein hota hi nahin
sar se karte hain mohim jab koi sar karte hain
ham-nashin khuub hai ye mehfil-e-yaaran ke yahan
vo saliqa hai ke aibon ko hunar karte hain
kya kahen haal tera ae mutamaddin duniya
janvar bhi nahin karte jo bashar karte hain
hamko dushman ki bhi taqliif gavara na hui
log ehbaab se bhi sarf-e-nazar karte hain
marqadon pe toh charahan hai shab-o-roz magar
umr kuch log andheron mein basar karte hain
tazkara miir ka gaalib ki zaban tak aaya
aitaraaf-e-hunar, arbaab-e-hunar karate hain
No comments:
Post a Comment