patthar ke jigar waalon gham mein vo ravani hai
khud raah bana lega behta hua paani hai
phuulon mein gazal rakhna ye raat ki raani hai
iss mein teri zulfon ki be-rabt[not connected] kahaani hai
ek zahan-e-parenshan mein vo phuul sa chehra hai
patthar ki hifazat mein shiishe ki jawani hai
kyon chandni raaton mein dariya pe nahate ho
soye huye paani mein kya aag lagani hai
iss hausla-e-dil par hamne bhi kafan pehna
hans kar koi puuchhega kya jaan gavaani hai
rone ka asar dil par rah rah ke badalta hai
aansu kabhi shiisha hai aansu kabhi paani hai
ye shabnami lehja hai aahista gazal padhana
titali ki kahani hai phuulon ki zabani hai
No comments:
Post a Comment