khwab iss aankhon se ab koi chura kar le jaaye
qabr ke suukhe huye phuul uthaa kar le jaaye
muntazir phuul mein khushbu ki tarah hun kab se
koi jhonken ki tarah aaye uda kar le jaaye
ye bhi paani hai magar aankhon ka aisa paani
jo hatheli pe rachi mehandi uda kar le jaaye
main mohabbat se mahakta hua khat hun mujhko
zindagi apani kitaabon mein daba kar le jaaye
khaak insaaf hai naabina[blind] buuton ke aage
raat thaali mein chiragon ko saja kar le jaaye
No comments:
Post a Comment