udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah siipiyon mein palte hain
ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hain
tamaam raat khajuuron ke ped jalate hain
main shaah raah nahin, raste ka patthar hun
yahan savaar bhi paidal utar kar chalte hain
unhen kabhi na batana main unki aankhen hun
vo log phuul samajhkar mujhe masalte hain
ye ek ped hai, aa iss se milkar ro len ham
yahan se tere mere raste badalte hain
kai sitaaron ko main jaanta hun bachpan se
kahin bhi jaaun mere saath saath chalte hain
No comments:
Post a Comment