kahin chaand raahon mein kho gaya kahin chaandani bhi bhatak gayi
main charag vo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gayi
meri daastan ka uruuj tha teri narm palakon ki chhaanv mein
mere saath tha tujhe jaagna terii aankh kaise jhapak gayi
kabhi ham mile toh bhi kya mile vahi duuriyan vahi faasale
na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhari jhijhak gayi
tujhe bhuul jaane ki koshishen kabhi qamayab na ho sakiin
teri yaad shaakh-e-gulab hai jo hawa chali toh lachak gayi
No comments:
Post a Comment