Thursday, July 9, 2009

bashir badr ki shayyiri

socha nahin achha bura dekha suna kuch bhi nahin
maanga khuda se raat din tere siva kuch bhi nahin
dekha tujhe socha tujhe chaha tujhe puuja tujhe
meri khata meri waffa teri khata kuch bhi nahin
jis par hamari aankh ne moti bichhaye raat bhar
bheja wahi kaagaz usse hamne likha kuch bhi nahin
ik sham ki dehleez par baithe rahe vo der tak
aankhon se ki baaten bahut munh se kaha kuch bhi nahin
do chaar din ki baat hai dil khaak mein so jaayega
jab aag par kaagaz rakha baakii bacha kuch bhi nahin
ehsaas ki khushbu kahan, aawaz ke jugnu kahan
khamosh yaadon ke siva, ghar mein raha kuch bhi nahin

No comments:

Post a Comment

wel come