hothon pe muhabbat ke fasane nahin aate
saahil pe samundar ke khazane nahin aate
palaken bhi chamak uth’ti hain sote mein hamari
aankhon ko abhi khvab chhupaane nahin aate
dil ujadi hui ik saraaye ki tarah hai
ab log yahan raat jagaane nahin aate
udne do parindon ko abhi shokh hawa mein
phir laut ke bachapan ke zamane nahin aate
iss shahar ke baadal teri zulfon ki tarah hain
ye aag lagate hain bujhane nahin aate
ahabaab[friends] bhi gaiiron ki ada seekh gaye hain
aate hain magar dil ko dukhane nahin aate
No comments:
Post a Comment