musafir ke raste badalte rahe
muqaddar mein chalna tha chalte rahe
koi phuul sa haath kaandhe pe tha
mere paanv sholon pe chalte rahe
mere raaste mein ujala raha
diye usski aankhon ke jalte rahe
vo kya tha jise hamne thukra diya
magar umr bhar haath malte rahe
muhabbat, adavat, vaffa, berukhi
kiraaye ke ghar thay badalte rahe
suna hai unhen bhi hawa lag gayi
hawaon ke jo rukh badalte rahe
lipat ke charagon se vo so gaye
jo phuulon pe karwat badalte rahe
No comments:
Post a Comment