kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de magar usske baad sahar na ho
vo bada raheem-o-kariim hai mujhe ye sifat bhi ata kare
tujhe bhulane ki dua karun toh dua mein meri asar na ho
mere baazuon mein thaki thaki, abhi mahav-e-khwab hai chandani
na uthe sitaaron ki palaki, abhi aahaton ka guzar na ho
ye gazal ki jaise hiran ki aankhon mein pichhali raat ki chaabdani
na bujhe kharabe ki roshani, kabhi becharag ye ghar na ho
vo firaaq ho ya wisal ho, teri yaad mahakegi ek din
vo gulab ban ke khilega kya, jo chirag ban ke jala na ho
kabhi dhuup de, kabhi badaliyan, dil-o-jaan se donon qubool hain
magar uss nagar mein na qaid kar jahan zindagi ki hawa na ho
kabhi din ki dhuup mein jhuum ke kabhi shab ke phuul ko chuum ke
yun hi saath saath chalen sada kabhi khatam apna safar na ho
mere paas mere habiib aa zara aur dil ke qariib aa
tujhe dhadakanon mein basa lun main ke bichhadane ka kabhi dar na ho
No comments:
Post a Comment