ek chehra saath saath raha jo mila nahin
kisako talaash karate rahe kuchh pataa nahin
shiddat ki dhuup tez hawaaon ke bawajuud
main shakh se gira hun nazar se gira nahin
aakhir ghazal ka taj mahal bhi hai makbara
ham zindagi thay ham ko kisi ne jiya nahin
jiski mukhalafat hui mashhuur ho gaya
inn pattharon se koi parinda gira nahin
tariikiyon mein aur chamakti hai dil ki dhuup
suraj tamaam raat yahan duubta nahin
kisne jalaayi bastiyan bazaar kyon lute
main chand par gaya tha mujhe kuch pata nahin
No comments:
Post a Comment