hum bhi shikasta-dil hain pareshan tum bhi ho
andar se reza reza[tukde] meri jaan tum bhi ho
hum bhi hain ek ujde huye shehr ki tarha
aankhein bata rahi hain ki veeran tum bhi ho
darpaish hai hamein bhi kadi dhuup ka safar
saaye ki aarzu mein pareshan tum bhi ho
jaise kisi khayal ka saya hain do wajood
hum bhi agar qayas[andaza] hain, imkaan[possibility] tum bhi ho
mil jaayen hum toh kaise suhana safar katay !
ghayal hai hum bhi sokhta saaman tum bhi ho
No comments:
Post a Comment