kabhi moam ban ke pighal gaya
kabhi girte girte sambhal gaya
vo ban ke lamha gurez ka
mere paas se nikal gaya
usse rokta bhi toh kis tarha
ke vo shaks itna ajeeb tha
kabhi tadap utha meri aah se
kabhi ashq se na pighal saka
sar-e-rah mila vo agar kabhi
toh nazar chura ke guzar gaya
vo utar gaya meri aankh se
mere dil se kyun na utar saka
vo chala gaya jahan chod ke
main wahan se phir na palat saka
vo sambal gaya tha ‘faraz’ magar
main bikhar ke phir na simat saka...!
No comments:
Post a Comment