hain ghar ki muhaafiz meri dehki hui aankhein
main taaq mein rakh aaya hun jalti hui aankhein
ik pal kisi mod pe rukne nahin deti
kaanton ki tarah zism mein chubti hui aankhein
raste mein qadam phoonk ke rakhna mere pyaro
hain chaaron taraf shehr mein bikhari hui aankhein
yun usske bichhad jaane pe aansu na bahaao
manzar ko taras jayengi bhigi hui ankhein
qaatil ke siva koi samjh hi nahin sakta
kya dekhti hain tasht mein rakhi hui aankhein
kya jaaniye kis khwaab ki taabir mein guum hain
zulfon ki ghani chaanv mein ulajhi hui ankhein
'sagar' shab-e-tiira mein ujaalon ki amiin hain
nafrat ke samandar mein ye behati hui aankhein
No comments:
Post a Comment