ishq ne dil mein jaga ki toh qaza bhi aayi
dard duniya mein jab aaya toh dava bhi aayi
dil ki hasti se kiya ishq ne aagah mujhe
dil jab aaya toh dhadakne ki sada bhi aayi
sadqe utarenge, asiiran-e-qafas chhuute hain
bijaliyan le ke nasheman pe ghata bhi aayi
haan ! na tha baab-e-asr bandh, magar kya kahiye
aah pahunchi thi ki dushman ki dua bhi aayi
aap socha hi kiye, uss se miluun ya na milon
maut mushtaq ko mitti mein mila bhi aayi
lo! masiha ne bhi, allaah ne bhi yaad kiya
aaj biimar ko hichki bhi, qaza bhi aayi
dekh ye jaada-e-hasti hai, sambhal kar 'fani'
piichhe piichhe vo dabe paaon qaza bhi aayi
No comments:
Post a Comment