Wednesday, July 1, 2009

khurshidul hasan nayyar ki shayyiri

gham ghazal mein dhala nahin hota
dil agar phool sa nahin hota
hota hai sirf vo mere dil mein
jab koi dosra nahin hota
kaun padhta ibartein dil ki
chehra gar aaiina nahin hota
sirf illzam aur nafrat se
hal koi masala nahin hota
humse sab kuch bayaan hota hai
par bayaan mudaa nahin hota
hum na hote toh gesu-e-sumbul
itna sanwra-saja nahin hota
yaad rakhna ki bhool hi jaana
bas mein ba_khuda nahin hota
chahne se kisi ke humsafaro
kabhi achcha bura nahin hota
zakhm-e-dil cactus hai sehra ka
kab bhala ye hara nahin hota
hum junoon kesh se kabhi ‘nayyar’
ishq ka haq ada nahin hota

No comments:

Post a Comment

wel come