khuun se jab jala diya ek diya bujhaa hua
phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua
ek hi dastan-e-shab ek hi silsila toh hai
ek diya jala hua ek diya bujha hua
mehfil-e-rang-o-nuur ki phir mujhe yaad aa gayi
phir mujhe yaad aa gaya ek diya bujha hua
mujhko nishaat se fuzuun rasm-e-waffa aziiz hai
mera rafiiq-e-shab raha ek diya bujha hua
dard ki kainaat mein mujhse bhi raushni rahi
waise meri bisaat kya ek diya bujha hua
sab meri raushni-e-jaan harf-e-sukhan mein dhal gayi
aur main jaise reh gaya ek diya bujha hua
No comments:
Post a Comment