kuch iss tarah se maine jiwan saja liya
har baar ik naya chehra laga liya
taqdeer ki lakeerien haathon mein ruk gayi
kadamon ki aahaton se manzil thehr gayi
apno ki aarzo ko har pal mita diya
har baar ik naya chehra laga liya
gumnam jindgi anjaan raaste
chalte hai sath sath sadiyon ke faasle
jeene ki aarzu ne buzdil bana diya
har baar ik naya chehra laga liya
kuch iss tarah se maine jiwan saja liya
apno ka na kabhi gairo ka ban saka
saanson ki har sau ka hissa na ban saka
mere wajood ko sab ne bhula diya
kuch iss tarah se maine jiwan saja liya
No comments:
Post a Comment