mere sang-e-mazaar par farhaad
rakh ke tesha[axe] kahe hai 'ya ustaad'
hamse bin marg[death] kya juda ho malaal
jaan ke saath hai dil-e-nashad[wretched heart]
fikr-e-taamiir mein na reh muniim
zindgi ki kuch bhi hai buniyaad
khaak bhi sar pe daalne ko nahin
kis kharabe[wasteland] mein ham huye aabad
sunte ho tak[this moment] suno ki phir mujh baad
na sunoge ye naalaa-o-fariyaad
har taraf hain asiir ham-aawaz
baag hai ghar tera toh ae sayyad
ham ko marna ye hai ke kab hove
apni qaid-e-hayat[life] se aazad
No comments:
Post a Comment