tha musteaar husn se usske jo nuur tha
khurshiid mein bhi uss hi ka zarra-e-zahuur tha
pahuncha jo aap ko toh main pahuncha khuda ke taa’in[near]
mallum ab hua ki bohat main bhi duur tha
kal paanv ek kaasa-e-sar[head] par jo aa gaya
yak-sar wo istkhvan[head] shikaston mein chuur tha
kehne laga ke dekh ke chal raah bekhabar
main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-guroor tha
tha vo toh rashk-e-huur-e-bahishti hamin mein 'meer'
samajhe na ham toh feham ka apne qasoor tha
No comments:
Post a Comment