dil ki baat kahi nahin jaati, chup ke rehna thana hai
haal agar hai aisa hi toh jii se jaana jaana hai
surkh kabhu hai aansu ho ke zard kabhu hai munh mera
kya kya rang mohabbat ke hain, ye bhi ek zamana hai
fursat hai yaan kam rehne ki, baat nahin kuch kehne ki
aankhen khol ke kaan jo khole bazm-e-jahan afsana hai
teg tale hi usske kyun na gardan daal ke jaa baithen
sar toh aakhir_kar hamen bhi haath ki aur jhukana hai
No comments:
Post a Comment