gham raha jab tak ki dam mein dam raha
dil ke jaane ka nihayat gham raha
husn tha tera bohat aalam fareb
khat ke aane par bhi ik aalm raha
mere rone ki haqiiqat jis mein thi
ek muddat tak vo kaagaz nam raha
jaamaa-e-eharaam[robe worn on haj]-e-zaahid par na ja
tha haram mein lekin na-mahram[impure] raha
No comments:
Post a Comment