Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

rahi na_gufta mere dil mein dastan meri
na iss dayaar mein samjha koi zaban meri
barang-e-saut-e-jaras tujhse duur hun tanha
khabar nahin hai tujhe aah karvan meri
ussi se duur raha asl-e-mudda jo tha
gayi ye umar-e-aziiz aah raayagan meri
tere firaq mein jaise khayal muflis ka
gayi hai fikr-e-pareshan kahan kahan meri
diya dikhaayi mujhe toh ussi ka jalwa ‘meer’
padi jahan mein ja kar nazar jahan meri

No comments:

Post a Comment

wel come