ulati ho gayin sab tadabiiren, kuch na dawa ne kaam kiya
dekha iss bimari-e-dil ne aakhir kaam tamam kiya
ahd-e-jawani ro-ro kaata, peeri mein li aankhen mund
yaani raat bohat thay jaage subah hui aaram kiya
naahaq ham majabuuron par tohamat hai mukhtari ki
chahte hain so aap kare hain, hamko abas[useless] badnaam kiya
sarzad[to do] hamse be-adabi toh wehshat mein bhi kam hi hui
koson usski aur gaye par sajda har har gaam kiya
aise aahon-eharam-khurda ki wehshat khoni mushkil thi
sihar kiya, ijaaz kiya, jin logon ne tujhko raam kiya
yaan ke saped-o-syaah mein hamko dakhal jo hai so itna hai
raat ko ro-ro subah kiya, din ko jyon-tyon sham kiya
'meer' ke deen-o-mazhab ko ab puuchate kya ho unn ne toh
qashqa khincha, dair mein baitha, kab ka tark islaam kiya
No comments:
Post a Comment