dekh toh dil ki jaan se uthata hai
ye dhuwan sa kahan se uthta hai
gor[tomb] kis dil-jale ki hai ye falak
shola ik subah yaan se uthta hai
khana-e-dil se zinhaar na jaa
koi aise makan se uthta hai
naala sar khenchta hai jab mera
shor ek asmaan se uthata hai
ladti hai usski chashm-e-shokh jahan
ek aashob waan se uuhta hai
sudh le ghar ki bhi shola-e-aawaz
duud[smoke] kuch aashiyan se uthta hai
baithane kaun de hai phir ussko
jo tere aastan se uthta hai
yun uthe aah uss gali se ham
jaise koi jahan se uthta hai
ishq ik 'meer' bhari paththar hai
bojh kab naatvan[weak] se uthta hai
No comments:
Post a Comment