rokta hai gham-e-izhar se pindaar mujhe
mere ashkon se chhupa le mere rukhsar mujhe
dekh ae dasht-e-junoon bhed na khulne paaye
dhuundhane aaye hain ghar ke dar-o-diwar mujhe
sii diye hont ussi shakh ki majbuuri ne
jiski qurbat ne kiya maharam-e-asraar mujhe
meri aankhon ki taraf dekh rahe hain anzum
jaise pehchan gayi ho shab-e-bedaar mujhe
jins-e-viraani-e-sahara meri dukan mein hai
kya kharidega tere shahr ka baazar mujhe
jaras-e-gul ne kai baar bulaaya lekin
le gayi raah se zanjiir ki jhankar mujhe
naavak-e-zulm utha dashna-e-andoh sambhal
lutf ke khanjar-e-benaam se mat maar mujhe
saari duniya mein ghani raat ka sanata tha
sahan-e-zindan mein mile subah ke aasaar mujhe
No comments:
Post a Comment