nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Friday, July 24, 2009
sochna toh hai
uss se pochhna toh hai
kya sila wafaon ka
hai yahi ke din aur raat
ussko soochte rehna
khud ko khojte rehna
uss se pochhna toh hai
ke yahi muhabbat hai
uss ke khwabon se
apni hi duaon ko
khud hi be-asaar karna
khud ko be-samar karna
uss se pochhna toh hai
zindgi yahi hai ke
usska sath ho aur bas
dermiyan koi na ho
dil ho vahmon ke beech
raaz-daan koi na ho
uss se pochhna toh hai
usske baad bhi kaise
din yeh kyon nikalta hai
raat kyon yeh dhalti hai
saans kaise chalti hai
uss se pochhna toh hai
khud bhi sochna toh hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment