Thursday, July 2, 2009

unknown


main dard se likhti hun jindgi ki qisse
tum sab dard un mein se chura loge na
hawaao ke tewar se bohat mayus hun main
ye jalte diye andheron se bacha loge na
bekhbar hai chand shudh leta nahi hamari
tum bhi sitaron se dil apna behla loge na
saja den apni shayri agar kadmon pe tumhre
apni palkon pe tum isko utha loge na
yakin hai mujhko na bhul paoge tum bhi
faasle jo darmiyan hai vo sab mita doge na
chalti hun safar ke aakhri padav ke paar
tanhai mein mujhko phir sada toh doge na

No comments:

Post a Comment

wel come