abhi woh dard baqi hai
agarche waqt marham hai
magar kuch waqt lagta hai
kisi ko bhool jaane mein
dobara dil basane mein
abhi kuch waqt lagna hai
abhi woh dard baqi hai
mein kaise nayi ulfat mein
apni zaat ko guum kar doon
ke mere jism-o-wajdaan mein
abhi woh fard baqi hai
abhi uss shaks ki mujh par
nigah-e-sard baqi hai
abhi toh ishq ke raston ki
mujh par gard baqi hai
No comments:
Post a Comment