baitha tha neem ki chaaoun mein ek shaam
ek pari aayi aur kaha ke aarzoo kya hai
kaha ke aankh nam hai dil jal raha hai
bas ! ek meethi si khushbu-e-heena hai
kehti hai `bedil’ yeh khushbu kya hai
Kaha ke pagli ! sirf ek khayal hai bas
masoom lafzon mein chupi ek tasveer ayaan hai
puuchti hai `bedil’ ! yeh jaadu kya hai
kaha ke har nazar na aanr waali cheez jaadu hai
masoom ! puuchti hai tumhen aakhir justju kya hai
kaha kae usse pana meri khwahish nahin
usse mehsoos karna meri justuju hai
ab tum bhi laut jaao pari
suraj bhi ghar ko chal diya hai…
No comments:
Post a Comment