Thursday, July 2, 2009

unknown

bandh kitab mein khali auraq rakhta hun
dil ko aaine ki tarah shafaf rakhta hun
ik baar ka milna kar deta hai mutasir
apni guftgu mein kuch aisa andaaz rakhta hun
mujhse milo toh zara faasle se mila karo
main dil mein utar jaane ka kamal rakhta hun
har dukh ko yunhi bant deta hun lafzon mein
kuch aisa hi dostana mizaz rakhta hun

No comments:

Post a Comment

wel come